Friday, 30 October 2015

Punjabi Zabaan, Pakistan Ki National Language Kyon Nahi Hy?

Kisi bhe state ki national language tu wo language hoti hy jo ous state ki majority population boolti ho.

 Pakistan ki 4% population Balochi boolti hy.

 Pakistan ki 8% population Pushto boolti hy.

 Pakistan ki 8% population Urdu boolti hy.

 Pakistan ki 12% population Sindhi boolti hy.

Jub k, Pakistan ki 60% population Punjabi as first language boolti hy jub k Punjabi language ko as second language boolnay waalay es k elaawa hain.

Sawal paida hota hy k Pakistan ki 60% population k Punjabi as first language boolnay k bawajood Punjabi k bajaay Pakistan ki 8% population ki as a first language booli jaanay waali zabaan Urdu ko Pakistan ki national language kyon banaaya gayaa hy?

India ki 25% Hindustani nation (Hindi-Urdu speaking, U.P, CP people of Gunga Jumna) ki Hindi zabaan, India ki national language hy.

India ki 25% population ki zabaan honay k bawajood, India k educational institutions, government offices, electronic aur print media, foreign relationship k liay Hindi zabaan ko he priority di jaati hy.

Laykun, Indus Valley Civilization k area par qaim Pakistan ki 60% Punjabi population ki Punjabi zabaan, Pakistan ki national language kyon nahi hy?



Pakistan ki 80% population k Punjabi zabaan bool aur samajh laynay k bawajood, Pakistan k educational institutions, government offices, electronic aur print media, foreign relationship k liay Punjabi zabaan ko kyon priority nahi di jaati?

No comments:

Post a Comment